Wednesday, September 12, 2012

Jodhaa Akbar Dialogues

Ultimate dialogues from Jodhaa Akbar- 

 1....Sharifuddin agar aap bakshi banu ke shohar nahi hote toh yeh bhala aapke jism ke paar hota...Hum aapse saare subbe wapis lete hai,ab aap saltanat ke silsile mein koi faisle nahi le paayenge...Aur ta-umr humare wafadar ban ke rahenge.!

2...Zalil,kameenzade,ehsaan faramosh teri yeh jurat,humare walid jaise shaks ka katl kar daala tune,aaj tune humare sabr ki saare hadde paar kardi adam,tune apne na-paak gunaah ko khan baba ke paak kafan se dhaagna chaha,woh khan baba jo mughliya saltanat ke wafadar hi nahi balki ek farishta-seerat insan bhi the,aur humare liye walid ka darja rakhte the.!!


3 - Bano Sharifuddin ek baghi hai,usne hamare saath ghadari ki hai,aur ek ghadar ko khaak mein milana humara imaan bhi hai aur insaaf bhi.!

4  -Mughal sahenshah Jalaluddin mohammad ki taraf se agaah kiya jaata hai ki arsa-e-ek maah me aap apne saltanat ko ba fauj o khazana ko mugliya saltanat k hawaley kar de aur mughal saltanat k mathat wafaadaar rehkar jaziyaat aur doosrey mahsoolaat ada karey, agar aap ne inkaar kiya ya es shahi farmaan par amal nahi kiya to jalal-e-jalaluddin ka edab aap par nazir hoga, aur yeh na kabil-e-muafe jurm aur gunah samjha jaega, aur mujrim va gunhgaar k saath uske saltanat ko bhi nist-o-naboot kar diya jaega..

Ba-khat

Ba-hukum

sahenshah-e-Hindustan

5 -

HAM HINDUSTAN KO GALAT HATHOME NAHI JANE DENGE…

HAMLEKE LIYE TAIYAAR...

Is mulk me hame hukumat ka hi nahi, IMAN KA PARCHAM BHI LEHERANA HAI…

FATEH KARNEME AUR RAAJ KARNEME FARK HOTA HAI, aavam ke dil ko jitneke liye uske man me zhakna hota hai…

Ham islam ke khilaf koi kadam nahi utha rahe , YE FAISLA EK HUKUMATI FAISLA HAI, MAZHABHI NAHI…

Shahi khazana , ham janana chahenge ke ye shahi khazana hai kya, kya hai ye khazana.
Ham mughal, koi afgaan ya dusre gair mulkoki tarah lutere nahi hai, jo hindustan ke daulat ko lut lenege, jo khazana bharneki havas par jite hai, YE HAMARA MULK HAI, AUR HAM ISKE JISM PE LOOT KE ZAKHM NAHI DEKH SAKTE…

HAM JANG NAHI AMAN CHAHTE HAI…

Ye baat bhi aap sabpar roshan rahe ke har mazhab ka ehtram aur bardasth karne ki chahat hi AANE VALE HINDUSTAN KO SUNEHERA BANA SAKTI HAI

Mohataram Sadaradasi sahab, jindagi ki khushiye ka batwara, shankh aur aazan ki aavaz se tay nahi hota,
TAHAM HAMARA SIR HAR MAZHAB KI MEHEK PAR ZHUKTA AAYA HAI, Hamari saltanat me raiyyat aazad hai, ke vo aapne aapne mazhab ke daman pe bosa de…

hazrile diwane aam aur mughal saltanat ko ham ye aakhri bar bata de, ke rani jodha ek hindu raatpoot hai, hamari begam hai, malika a hindustan bhi hai, inke khilaf kadam uthana mughal saltanat ke khilaf kadam uthane jaisa hai,

Ise uthakar , sir ke bal yahase niche fek diya jaye… hukum ki tamil ho… , kya vo margaya, (Guards: nahi janab aabhi jaan baki hai), use upar laya jaye aur dubara feka jaye


 

2 comments:

  1. Rajput spelt incorrectly. Can't blame Hrithik for a pronunciation flaw. After defeating Shareefuddeen, "SHAREEFUDDEEN, Agar aap Bakshibaanu ke shauhar nahi hote, to ye bhaala aapke jism ke paar hota. Sirf unke liye, Hum aapko 'Maaf' karte hain"

    The correct word is Mu-aaf. In the movie, Bakshibaanu and Mohataram Saadar Adaasi pronounced it correctly. But Jalaaluddeen (Hrithik) and Chugtaai Khan (Rajesh Vivek) (said "Gustaakhi 'Maaf' jahaan-panaah...") did this pronunciation flaw.

    ReplyDelete
    Replies
    1. The pronunciation flaws are to be handled while dubbing atleast. the dialogue writer should have adhered to the perfect pronunciation for the fact that it's a periodic film, when the command over any language was emphasized always by everyone. Sujaamal (Sonu Sood), being a Rajput has urdu words in dialogue such as dhokhebaaz.

      Delete